Na Apna Nam Na Chehra Badal Ke Aaya Hun
na apna nam na chehra badal ke aaya hun
ki ab ki bar main rasta badal ke aaya hun
wo aur honge jo kar-e-hawas pe zinda hain
main us ki dhup se saya badal ke aaya hun
zara bhi farq na paDta makan badalne se
wo baam-o-dar wo daricha badal ke aaya hun
mujhe KHabar hai ki duniya badal nahin sakti
isi liye to main chashma badal ke aaya hun
wahi suluk wahi bhik chahta hun main
wahi faqir hun kasa badal ke aaya hun
mujhe batao koi kaam phir se karne ka
main apna KHun pasina badal ke aaya hun
main ho gaya hun kisi nind ka shirakat-dar
main ek hasin ka takiya badal ke aaya hun
suno ki jonk lagai hai main ne patthar mein
main ek nigah ka shisha badal ke aaya hun
mera tariqa mera khel hi nirala hai
na main zaban na lahja badal ke aaya hun
wahi asir hun aur hai meri wahi auqat
main is jahan mein pinjra badal ke aaya hun
(1446) Peoples Rate This