KHud Se Niklun Bhi To Rasta Nahin Aasan Mera
KHud se niklun bhi to rasta nahin aasan mera
meri sochen hain ghani KHauf hai gunjaan mera
hai kisi aur samay par guzar-auqat meri
din KHasara hai mujhe raat hai nuqsan mera
mera tahzib-o-tamaddun hai ye wahshat meri
mera qissa, meri tariKH hai nisyan mera
main kisi aur hi aalam ka makin hun pyare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsan mera
din nikalte hi mere KHwab bikhar jate hain
roz girta hai isi farsh pe gul-dan mera
mujh ko jis naw mein aana tha kahin Dub gai
KHwab hai nind ke sahil pe pareshan mera
(850) Peoples Rate This