Waris
wo abnormal nahin tha
sirf us ko normal banne ki hasrat thi
kai KHanon mein us ki zindagi baTne lagi thi
wo apni koshish-e-na-mo'tabar se tang aa kar
nim-jaan ho kar
ek KHane mein panah lene laga tha
bani aamat-gah-e-tir-e-nafrat shaKHsiyat us ki
use bhi KHud se nafrat ho chuki thi
magar is nafrat-e-manus ki takrar se us ne
durusht o na-muwafiq zindagi se sulh kar li thi
yahi tha kisa-e-aKHlaq us ka
gharibi ne sharafat chhin li thi
aur us ki shaKHsiyat ke pairahan mein
guhar-baron ke badle sang-reze jaD diye the
wo abnormal nahin tha
magar ab us mein KHud ko normal karne ka yara bhi nahin tha
use ab ye gawara bhi nahin tha
gali-kuchon ki sari gandagi ka
tirgi ka
wo ab haqdar waris ban chuka tha
(991) Peoples Rate This