Zindan-e-subh-o-sham Mein Tu Bhi Hai Main Bhi Hun

zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun

ek gardish-e-mudam mein tu bhi hai main bhi hun

be-farsh-o-baam silsila-e-kaenat ke

is be-sutun nizam mein tu bhi hai main bhi hun

be-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum

be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun

is daimi hisar mein hum ko mafar kahan

zarron ke azhdaham mein tu bhi hai main bhi hun

har tirah-fam subh ka wirsa hai mushtarak

har nur-dida sham mein tu bhi hai main bhi hun

(1587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindan-e-subh-o-sham Mein Tu Bhi Hai Main Bhi Hun In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Zindan-e-subh-o-sham Mein Tu Bhi Hai Main Bhi Hun is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Zindan-e-subh-o-sham Mein Tu Bhi Hai Main Bhi Hun for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Zindan-e-subh-o-sham Mein Tu Bhi Hai Main Bhi Hun in PDF.