Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c0a4d75a8ea5c0de802350a5117489ca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kaun Meri Tishnagi BaDha BaDha Ke Chal Diya - Akbar Hyderabadi Poetry In English - Darsaal

Ye Kaun Meri Tishnagi BaDha BaDha Ke Chal Diya

ye kaun meri tishnagi baDha baDha ke chal diya

ki lau charagh-e-dard ki baDha baDha ke chal diya

ye mera dil hi jaanta hai kitna sang-dil hai wo

ki mujh se apni dosti baDha baDha ke chal diya

bichhaD ke us se zindagi wabaal-e-jaan ho gai

wo dil mein shauq-e-KHud-kushi baDha baDha ke chal diya

karun to ab main kis se apni wusat-e-nazar ki baat

wo mujh mein hiss-e-agahi baDha baDha ke chal diya

na did ki umid ab na lutf-e-naghma-e-visal

ki lai wo saz-e-hijr ki baDha baDha ke chal diya

wo aaya 'akbar' is ada se aaj mere samne

ki ek jhalak si KHwab ki dikha dikha ke chal diya

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaun Meri Tishnagi BaDha BaDha Ke Chal Diya In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Ye Kaun Meri Tishnagi BaDha BaDha Ke Chal Diya is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Ye Kaun Meri Tishnagi BaDha BaDha Ke Chal Diya for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Ye Kaun Meri Tishnagi BaDha BaDha Ke Chal Diya in PDF.