Nigah-e-shauq Se Husn-e-gul-o-gulzar To Dekh
nigah-e-shauq se husn-e-gul-o-gulzar to dekh
aankhen khul jaengi ye manzar-e-didar to dekh
paikar-e-shahid-e-hasti mein hai ek aanch nai
lazzat-e-did uTha shola-e-ruKHsar to dekh
shoKHi-e-naqsh koi hadsa-e-waqt nahin
moajaza-e-kari-e-KHun-e-dil-e-fankar to dekh
har dukan apni jagah hairat-e-nazzara hai
fikr-e-insan ke sajae hue bazar to dekh
ban gae gard-e-safar qafile aawazon ke
aadam-e-nau ki zara garmi-e-raftar to dekh
munqalib ho gaya paimana-e-har-bast-o-buland
dekh kar apni taraf jaanib-e-kohsar to dekh
nae aahang se ab naghma-sara hai 'akbar'
fikr ke sath zara shoKHi-e-guftar to dekh
(1003) Peoples Rate This