Kul Aalam-e-wajud Ki Ek Dasht-e-nur Tha
kul aalam-e-wajud ki ek dasht-e-nur tha
sara hijab tira-dili ka qusur tha
samjhe the johd-e-ishq mein hum surKH-ru hue
dekha magar to shisha-e-dil chur chur tha
pahunche na yun hi manzil-e-izhaar-e-zat tak
taht-e-shuur ek safar-e-la-shuur tha
tha jo qarib us ko basirat na thi nasib
jo dekhta tha mujh ko bahut mujh se dur tha
mubham the sab nuqush naqabon ki dhund mein
chehra ek aur bhi pas-e-chehra zarur tha
(852) Peoples Rate This