Jin Ke Nasib Mein Aab-o-dana Kam Kam Hota Hai
jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai
mail un ki samt zamana kam kam hota hai
raste hi mein ho jati hain baaten bas do-chaar
ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai
mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul
aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai
kabhi jo baaten ishq ke sal-o-sin ka hasil thin
ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai
rind sabhi saghar par saghar chhalkate jate hain
kyun labrez mera paimana kam kam hota hai
baat pate ki kar jata hai yun to kabhi kabhi
hosh mein lekin ye diwana kam kam hota hai
kitni muqaddas hogi 'akbar' us bachche ki pyas
jis ki ek Thokar se rawana zamzam hota hai
(867) Peoples Rate This