Jab Subh Ki Dahliz Pe Bazar Lagega
jab subh ki dahliz pe bazar lagega
har manzar-e-shab KHwab ki diwar lagega
pal bhar mein bikhar jaenge yaadon ke zaKHire
jab zehn pe ek sang-e-giran-bar lagega
gundhe hain nai shab ne sitaron ke nae haar
kab ghar mera aaina-e-anwar lagega
gar sail-e-KHurafat mein bah jaen ye aankhen
har harf-e-yaqin kalma-e-inkar lagega
haalat na badle to tamanna ki zamin par
TuTi hui ummidon ka ambar lagega
khilte rahe gar phul lahu mein yunhi 'akbar'
har fasl mein dil apna saman-zar lagega
(910) Peoples Rate This