Han Yahi Shahr Mere KHwabon Ka Gahwara Tha
han yahi shahr mere KHwabon ka gahwara tha
inhi galiyon mein kahin mera sanam-KHana tha
isi dharti pe the aabaad saman-zar mere
isi basti mein meri ruh ka sarmaya tha
thi yahi aab-o-hawa nashw-o-numa ki zamin
isi miTTi se mere fan ka KHamir uTTha tha
ab na diwaron se nisbat hai na baam-o-dar se
kya isi ghar se kabhi mera koi rishta tha
zaKHm yaadon ke sulagte hain meri aankhon mein
KHwab in aankhon ne kya jaaniye kya dekha tha
mehrban raat ke sae the munawwar aise
ashk aankhon mein liye dil ye sarasima tha
ajnabi lagte the sab kucha o bazar 'akbar'
ghaur se dekha to wo shahr mera apna tha
(892) Peoples Rate This