GhuTan Azab-e-badan Ki Na Meri Jaan Mein La
ghuTan azab-e-badan ki na meri jaan mein la
badal ke ghar mera mujh ko mere makan mein la
meri ikai ko izhaar ka wasila de
meri nazar ko mere dil ko imtihan mein la
saKHi hai wo to saKHawat ki laj rakh lega
sawal arz-e-talab ka na darmiyan mein la
dil-e-wajud ko jo chir kar guzar jae
ek aisa tir tu apni kaDi kaman mein la
hai wo to hadd-e-giraft-e-KHayal se bhi pare
ye soch kar hi KHayal us ka apne dhyan mein la
badan tamam usi ki sada se gunj uThe
talatum aisa koi aaj meri jaan mein la
charagh-e-rahguzar lakh tabnak sahi
jala ke apna diya raushni makan mein la
ba-rang-e-KHwab sahi sari kaenat 'akbar'
wajud-e-kul ko na andesha-e-guman mein la
(1017) Peoples Rate This