Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8c3c99c5f4092ad79e843c69c29f21c4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fitne Ajab Tarah Ke Saman-zar Se UThe - Akbar Hyderabadi Poetry In English - Darsaal

Fitne Ajab Tarah Ke Saman-zar Se UThe

fitne ajab tarah ke saman-zar se uThe

sare parind shaKH-e-samar-dar se uThe

diwar ne qubul kiya sail-e-nur ko

sae tamam-tar pas-e-diwar se uThe

jin ki numu mein thi na muawin hawa koi

aise bhi gul zamin-e-KHas-o-KHar se uThe

taslim ki sirisht bas ijab aur qubul

sare sawal jurat-e-inkar se uThe

shahr-e-talluqat mein uDti hai jin se KHak

fitne wo sab raunat-e-pindar se uThe

aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya

kitne naqab chehra-e-asrar se uThe

taswir-e-gard ban gaya 'akbar' chaman tamam

kaise ghubar wadi-e-kohsar se uThe

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fitne Ajab Tarah Ke Saman-zar Se UThe In English By Famous Poet Akbar Hyderabadi. Fitne Ajab Tarah Ke Saman-zar Se UThe is written by Akbar Hyderabadi. Read famous Poem Fitne Ajab Tarah Ke Saman-zar Se UThe for youth and Student by Akbar Hyderabadi. Free Download Fitne Ajab Tarah Ke Saman-zar Se UThe in PDF.