Dur Tak Bas Ek Dhundalka Gard-e-tanhai Ka Tha
dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha
raston ko ranj meri aabla-pai ka tha
fasl-e-gul ruKHsat hui to wahshaten bhi miT gain
haT gaya saya jo ek aaseb-e-sahrai ka tha
toD hi Dala samundar ne tilism-e-KHud-sari
zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha
aur mubham ho gaya paiham mulaqaton ke sath
wo jo ek mauhum sa rishta shanasai ka tha
KHak ban kar pattiyan mauj-e-hawa se ja milin
der se 'akbar' gulon par qarz purwai ka tha
(839) Peoples Rate This