Dahakte Kuchh KHayal Hain Ajib Ajib Se
dahakte kuchh KHayal hain ajib ajib se
ki zehn mein sawal hain ajib ajib se
tha aaftab subh kuchh to sham ko kuchh aur
uruj aur zawal hain ajib ajib se
har ek shahrah par dukanon mein saje
tarah tarah ke mal hain ajib ajib se
wo pas ho ke dur hai to dur ho ke pas
firaq aur visal hain ajib ajib se
nikalna in se bach ke sahal is qadar nahin
qadam qadam pe jal hain ajib ajib se
adab faqat adab hai? ya hai tarjuman-e-zist?
mere yahi sawal hain adib adib se
(983) Peoples Rate This