Aankh Mein Aansu Ka Aur Dil Mein Lahu Ka Kal Hai
aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai
hai tamanna ka wahi jo zindagi ka haal hai
yun dhuan dene laga hai jism aur jaan ka alao
jaise rag rag mein rawan ek aatish-e-sayyal hai
phailte jate hain dam-e-narasi ke daere
tere mere darmiyan kin hadson ka jal hai
ghir gai hai do zamanon ki kashakash mein hayat
ek taraf zanjir-e-mazi ek jaanib haal hai
hijr ki rahon se 'akbar' manzil-e-didar tak
yun hai jaise darmiyan ek raushni ka sal hai
(873) Peoples Rate This