Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_77d884e11ced015fe2e5d27f56fdb207, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Hai Na Nishan Be-dili Ka - Akbar Husain Mohani Ibrat Poetry In English - Darsaal

Dil Hai Na Nishan Be-dili Ka

dil hai na nishan be-dili ka

kya waqt paDa hai be-kasi ka

dekha kiye rasta kisi ka

tha shaghl ye apni zindagi ka

parwa-e-karam na shikwa-e-gham

allah re dimagh be-dili ka

main aur ye be-niyazi-e-shauq

ehsan hai josh-e-be-KHudi ka

marna marne ki aarzu mein

hasil hai ye apni zindagi ka

aansu bhar aae dil bhar aaya

gar nam bhi sun liya KHushi ka

aaKHir 'ibrat' ne jaan de di

kuchh pas kiya na be-kasi ka

(768) Peoples Rate This

Akbar Husain Mohani Ibrat's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Hai Na Nishan Be-dili Ka In English By Famous Poet Akbar Husain Mohani Ibrat. Dil Hai Na Nishan Be-dili Ka is written by Akbar Husain Mohani Ibrat. Read famous Poem Dil Hai Na Nishan Be-dili Ka for youth and Student by Akbar Husain Mohani Ibrat. Free Download Dil Hai Na Nishan Be-dili Ka in PDF.