Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2186614e08c4a9fdb3723515e2c74892, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Aanchal Ishaare De Raha Hai - Akbar Hameedi Poetry In English - Darsaal

Tera Aanchal Ishaare De Raha Hai

tera aanchal ishaare de raha hai

falak raushan sitare de raha hai

hawa sahla rahi hai us ke tan ko

wo shoala ab sharare de raha hai

khule hain phul har-su jaise koi

tera sadqa utare de raha hai

guzarne wale kab the hijr ke din

magar aashiq guzare de raha hai

junubi asia ko jaise 'akbar'

ye din koi udhaare de raha hai

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Aanchal Ishaare De Raha Hai In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Tera Aanchal Ishaare De Raha Hai is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Tera Aanchal Ishaare De Raha Hai for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Tera Aanchal Ishaare De Raha Hai in PDF.