Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3e175a70c65ffe4abf2ff48b4dcbf8c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tamam Aalam-e-imkan Mere Guman Mein Hai - Akbar Hameedi Poetry In English - Darsaal

Tamam Aalam-e-imkan Mere Guman Mein Hai

tamam aalam-e-imkan mere guman mein hai

wo tir hun jo abhi waqt ki kaman mein hai

abhi wo subh nahin hai ki mera kashf khule

wo harf-e-sham hun jo ajnabi zaban mein hai

in aanganon mein hain barson se ek se din raat

yahi ruka hua lamha har ek makan mein hai

ye aks-e-ab hai ya is ka daman-e-rangin

ajib tarah ki surKHi si baadban mein hai

jahan dalil ko patthar se toDna Thahre

wo shahr-e-sang-dilan saKHt imtihan mein hai

mujhe adu ki baqa bhi aziz hai 'akbar'

ki ek phul si diwar darmiyan mein hai

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Aalam-e-imkan Mere Guman Mein Hai In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Tamam Aalam-e-imkan Mere Guman Mein Hai is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Tamam Aalam-e-imkan Mere Guman Mein Hai for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Tamam Aalam-e-imkan Mere Guman Mein Hai in PDF.