Raat Aai Hai Bachchon Ko PaDhane Mein Laga Hun

raat aai hai bachchon ko paDhane mein laga hun

KHud jo na bana un ko banane mein laga hun

wo shaKHs to rag rag mein meri gunj raha hai

barson se gala jis ka dabane mein laga hun

utra hun diya le ke nihan-KHana-e-jaan mein

soe soe aaseb jagane mein laga hun

patthar hun to shishe se mujhe kaam paDa hai

shisha hun to patthar ke zamane mein laga hun

fankar ba-zid hai ki lagaega numaish

main hun ki har ek zaKHm chhupane mein laga hun

kuchh paDhna hai kuchh likhna hai kuchh rona hai shab ko

main kaam sar-e-sham chukane mein laga hun

aise mein to ab sabr bhi mushkil hua 'akbar'

sab kahte hain main us ko bhulane mein laga hun

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Aai Hai Bachchon Ko PaDhane Mein Laga Hun In English By Famous Poet Akbar Hameedi. Raat Aai Hai Bachchon Ko PaDhane Mein Laga Hun is written by Akbar Hameedi. Read famous Poem Raat Aai Hai Bachchon Ko PaDhane Mein Laga Hun for youth and Student by Akbar Hameedi. Free Download Raat Aai Hai Bachchon Ko PaDhane Mein Laga Hun in PDF.