Kaha Tha Usne Mohabbat Ki Aabru Rakhna
kaha tha us ne mohabbat ki aabru rakhna
chubhe hon kitne bhi kanTe gulon ki KHu rakhna
dilon ko toD na Dale tumhaari haq-goi
bajae harf ke aaina ru-ba-ru rakhna
jo waqt ahl-e-wafa se kabhi lahu mange
to sab se pahle lab-e-tegh par gulu rakhna
KHizan se haar na jaana kisi bhi haalat mein
numu mile na mile KHwahish-e-numu rakhna
bura na kahna zamane ko hum zamana hain
hamare baad zamane se guftugu rakhna
faqih-e-shahr ke fatwe ki haisiyat kya hai
to KHud ko apni nigahon mein surKH-ru rakhna
visal-e-dost ki saat bhi aane wali hai
sahar qarib hai 'akbar' abhi wazu rakhna
(850) Peoples Rate This