Hansi Mein Saghar-e-zarrin Khanak Khanak Jae
hansi mein saghar-e-zarrin khanak khanak jae
shabab us ki sada ka chhalak chhalak jae
dil-o-nazar mein basi hai wo chand si surat
wo dil-kashi hai ki baalak humak humak jae
libas mein hai wo tarz-e-tapak-e-araish
jo ang chahe chhupana jhalak jhalak jae
qadam qadam teri ranaiyon ke dar wa hon
rawish rawish tera aanchal Dhalak Dhalak jae
nafas nafas ho saba ki tarah bahaar-angez
ufuq ufuq gul-e-hasti mahak mahak jae
nashat-e-qurb ke lamhon mein us ki angDai
ubhar ke KHak-e-badan se dhanak dhanak jae
baqa ke raaz hain sab us pe munkashif 'akbar'
wo shaKH-e-sabz hawa se lachak lachak jae
(1040) Peoples Rate This