Ye Sitam Ek KHwahish-e-mauhum Par
ye sitam ek KHwahish-e-mauhum par
lutf farma KHatir-e-maghmum par
ai masarrat mere gham-KHane se dur
ye girani aur mere maqsum par
pursish-e-haalat-e-gham se darguzar
rahm farma ab dil-e-marhum par
banda-parwar sirf itni arz thi
farz kuchh KHadim ke hain maKHdum par
sabr karti hi rahi be-chaargi
zulm hota hi raha mazlum par
kya mubassir dida-e-KHun-bar tha
tabsira karta raha maqsum par
ek tabassum tha jawab-e-arzu
wusaten qurban huin mafhum par
ibtida-e-gham ki dur-andeshiyan
shad hon anjam-e-na-malum par
aaj tak 'akbar' hun main sabit-qadam
jada-e-KHuddari-e-mauhum par
(618) Peoples Rate This