Ishrati Ghar Ki Mohabbat Ka Maza Bhul Gae
'ishrati' ghar ki mohabbat ka maza bhul gae
kha ke london ki hawa ahd-e-wafa bhul gae
pahunche hotel mein to phir id ki parwa na rahi
cake ko chakh ke sewaiyon ka maza bhul gae
bhule man bap ko aghyar ke charnon mein wahan
saya-e-kufr paDa nur-e-KHuda bhul gae
mom ki putliyon par aisi tabiat pighli
chaman-e-hind ki pariyon ki ada bhul gae
kaise kaise dil nazuk ko dukhaya tum ne
KHabar-e-faisla-e-roz-e-jaza bhul gae
buKHl hai ahl-e-watan se jo wafa mein tum ko
kya buzurgon ki wo sab jud-o-ata bhul gae
naql maghrib ki tarang aai tumhaare dil mein
aur ye nukta ki meri asl hai kya bhul gae
kya tajjub hai jo laDkon ne bhulaya ghar ko
jab ki buDhe rawish-e-din-e-KHuda bhul gae
(6121) Peoples Rate This