Mis Simin Badan
ek mis simin badan se kar liya london mein aqd
is KHata par sun raha hun tana-ha-e-dil-KHarash
koi kahta hai ki bas us ne bigaDi nasl-e-qaum
koi kahta hai ki ye hai bad-KHisal-o-bad-maash
dil mein kuchh insaf karta hi nahin koi buzurg
ho ke ab majbur KHud is raaz ko karta hun fash
hoti thi takid london jao angrezi paDho
qaum-e-english se milo sikho wahi waza-e-tarash
jagmagate hoTalon ka ja ke nazzara karo
soup o karri ke maze lo chhoD kar yaKHni o aash
leadiyon se mil ke dekho un ke andaz-o-tariq
hall mein nacho clab mein jake khelo un se tash
baada-e-tahzib-e-europe ke chaDhao KHum ke KHum
asia ke shisha-e-taqwa ko kar do pash pash
jab amal is par kiya pariyon ka saya ho gaya
jis se tha dil ki hararat ko sarasar inteash
samne thin leadiyan zehara-wash o jadu-nazar
yan jawani ki umang aur un ko aashiq ki talash
us ki chitwan sehar-agin us ki baaten dil-ruba
chaal us ki fitna-KHez us ki nigahen barq-pash
wo farogh-e-atish-e-ruKH jis ke aage aaftab
is tarah jaise ki pesh-e-shama parwane ki lash
jab ye surat thi to mumkin tha ki ek barq-e-bala
dast-e-simin ko baDhati aur main kahta dur-bash?
donon jaanib tha ragon mein josh-e-KHun-e-fitna-za
dil hi tha aaKHir nahin thi barf ki ye koi qash
bar bar aata hai 'akbar' mere dil mein ye KHayal
hazrat-e-sayyad se jakar arz karta koi kash
'darmiyan-e-qar-e-dariya taKHta-bandam-karda-i
baz-mi-goi ki daman-e-tar makun-hushyar-bash
(3940) Peoples Rate This