Madrasa Ali-gaDh
KHuda ali-gaDh ke madrase ko tamam amraaz se shifa de
bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade
latif o KHush-waza chust o chaalak o saf o pakiza shad-o-KHurram
tabiaton mein hai in ki jaudat dilon mein in ke hain nek irade
kamal-e-mehnat se paDh rahe hain kamal-e-ghairat se paDh rahe hain
sawar mashriq rah mein hain to maghribi rah mein piyaade
har ek hai in mein ka be-shak aisa ki aap use chahte hain jaisa
dikhawe mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de
faqir mange to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha
qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de
buton se in ko nahin lagawaT mison ki lete nahin wo aahaT
tamam quwwat hai sarf-e-KHwandan nazar ke bhole hain dil ke sade
nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai
electric light us ko samjhen jo barq-wash koi kude
nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi
ye kah ke lete hain sab se chande jo tum hamein do tumhein KHuda de
unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asl kar-e-din hai
isi se hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade
makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain
KHabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaise jade
dilon mein in ke hain nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban
hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de
fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab
miTa de aaKHir ko din-o-mazhab numud-e-zati ko go baDha de
yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab bari mein ye dua hai
ulum o hikmat ka dars in ko professor den samajh KHuda de
(1425) Peoples Rate This