Barq-e-kalisa
raat us mis se kalisa mein hua main do-chaar
hae wo husn wo shoKHi wo nazakat wo ubhaar
zulf-e-pechan mein wo saj-dhaj ki balaen bhi murid
qadar-e-rana mein wo cham-KHam ki qayamat bhi shahid
aankhen wo fitna-e-dauran ki gunahgar karen
gal wo subh-e-daraKHshan ki malak pyar karen
garm taqrir jise sunne ko shola lapke
dil-kash aawaz ki sun kar jise bulbul jhapke
dilkashi chaal mein aisi ki sitare ruk jaen
sarkashi naz mein aisi ki gowernor jhuk jaen
aatish-e-husn se taqwe ko jalane wali
bijliyan lutf-e-tabassum se girane wali
pahlu-e-husn-e-bayan shoKHi-e-taqrir mein gharq
turki o misr o filistin ke haalat mein barq
pis gaya luT gaya dil mein sakat hi na rahi
sur the tamkin ke jis gat mein wo gat hi na rahi
zabt ke azm ka us waqt asar kuchh na hua
ya-hafizo ka kiya wird magar kuchh na hua
arz ki main ne ki ai gulshan-e-fitrat ki bahaar
daulat o izzat o iman tere qadmon pe nisar
tu agar ahd-e-wafa bandh ke meri ho jae
sari duniya se mere qalb ko seri ho jae
shauq ke josh mein main ne jo zaban yun kholi
naz-o-andaz se tewar ko chaDha kar boli
ghair-mumkin hai mujhe uns musalmanon se
bu-e-KHun aati hai is qaum ke insanon se
lan-tarani ki ye lete hain namazi ban kar
hamle sarhad pe kiya karte hain ghazi ban kar
koi banta hai jo mehdi to bigaD jate hain
aag mein kudte hain top se laD jate hain
gul khilae koi maidan mein to itra jaen
paen saman-e-iqamat to qayamat Dhaen
mutmain ho koi kyun-kar ki ye hain nek-nihad
hai hanuz un ki ragon mein asar-e-hukm-e-jihad
dushman-e-sbar ki nazron mein lagawaT aai
kaamyabi ki dil-e-zar ne aahaT pai
arz ki main ne ki ai lazzat-e-jaan rahat-e-ruh
ab zamane pe nahin hai asar-e-adam-o-nuh
shajar-e-tur ka is bagh mein pauda hi nahin
gasu-e-hur ka is daur mein sauda hi nahin
ab kahan zehn mein baqi hain burraq-o-rafraf
TakTaki bandh gai hai qaum ki engine ki taraf
hum mein baqi nahin ab KHalid-e-jaan-baz ka rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz ka rang
yan na wo nara-e-takbir na wo josh-e-sipah
sab ke sab aap hi paDhte rahen subhan-allah
jauhar-e-tegh-e-mujahid tere abru pe nisar
nur iman ka tere aaina-e-ru pe nisar
uTh gai safha-e-KHatir se wo bahs-e-bad-o-nek
do dile ho rahe hain kahte hain allah ko ek
mauj kausar ki kahan ab hai mere bagh ke gird
main to tahzib mein hun pir-e-mughan ka shagird
mujh pe kuchh wajh-e-itab aap ko ai jaan nahin
nam hi nam hai warna main musalman nahin
jab kaha saf ye main ne ki jo ho sahab-e-fahm
to nikalo dil-e-nazuk se ye shubh ye wahm
mere islam ko ek qissa-e-mazi samjho
hans ke boli ki to phir mujh ko bhi raazi samjho
(3687) Peoples Rate This