Yun Meri Taba Se Hote Hain Maani Paida
yun meri taba se hote hain maani paida
jaise sawan ki ghaTaon se ho pani paida
kya ghazab hai nigah-e-mast-e-mis-e-baada-farosh
shaiKH fani mein hua rang-e-jawani paida
ye jawani hai ki pata hai junun jis se zuhur
ye na samjho ki junun se hai jawani paida
be-KHudi mein to ye jhagDe nahin rahte ai hosh
tu ne kar rakkha hai ek aalam-e-fani paida
koi mauqa nikal aae ki bas aanhken mil jaen
rahen phir aap hi kar legi jawani paida
har talluq mera sarmaya hai ek nowel ka
meri har raat se hai ek kahani paida
jang hai jurm mohabbat hai KHilaf-e-tahzib
ho chuka walwala-e-ahd-e-jawani paida
kho gai hind ki firdaus-e-nishani 'akbar'
kash ho jae koi 'milton'-e-sani paida
(1360) Peoples Rate This