Unhen Nigah Hai Apne Jamal Hi Ki Taraf
unhen nigah hai apne jamal hi ki taraf
nazar uTha ke nahin dekhte kisi ki taraf
tawajjoh apni ho kya fann-e-shairi ki taraf
nazar har ek ki jati hai aib hi ki taraf
likha hua hai jo rona mere muqaddar mein
KHayal tak nahin jata kabhi hansi ki taraf
tumhaara saya bhi jo log dekh lete hain
wo aankh uTha ke nahin dekhte pari ki taraf
bala mein phansta hai dil muft jaan jati hai
KHuda kisi ko na le jae us gali ki taraf
kabhi jo hoti hai takrar ghair se hum se
to dil se hote ho dar-parda tum usi ki taraf
nigah paDti hai un par tamam mahfil ki
wo aankh uTha ke nahin dekhte kisi ki taraf
nigah us but-e-KHud-bin ki hai mere dil par
na aaine ki taraf hai na aarsi ki taraf
qubul kijiye lillah tohfa-e-dil ko
nazar na kijiye is ki shikastagi ki taraf
yahi nazar hai jo ab qatil-e-zamana hui
yahi nazar hai ki uThti na thi kisi ki taraf
gharib-KHana mein lillah do-ghaDi baiTho
bahut dinon mein tum aae ho is gali ki taraf
zara si der hi ho jaegi to kya hoga
ghaDi ghaDi na uThao nazar ghaDi ki taraf
jo ghar mein puchhe koi KHauf kya hai kah dena
chale gae the Tahalte hue kisi ki taraf
hazar jalwa-e-husn-e-butan ho ai 'akbar'
tum apna dhyan lagae raho usi ki taraf
(1523) Peoples Rate This