Tariq-e-ishq Mein Mujhko Koi Kaamil Nahin Milta

tariq-e-ishq mein mujh ko koi kaamil nahin milta

gae farhad o majnun ab kisi se dil nahin milta

bhari hai anjuman lekin kisi se dil nahin milta

hamin mein aa gaya kuchh naqs ya kaamil nahin milta

purani raushni mein aur nai mein farq itna hai

use kashti nahin milti ise sahil nahin milta

pahunchna dad ko mazlum ka mushkil hi hota hai

kabhi qazi nahin milte kabhi qatil nahin milta

harifon par KHazane hain khule yan hijr-e-gesu hai

wahan pe bil hai aur yan sanp ka bhi bil nahin milta

ye husn o ishq hi ka kaam hai shubah karen kis par

mizaj un ka nahin milta hamara dil nahin milta

chhupa hai sina o ruKH dil-sitan hathon se karwaT mein

mujhe sote mein bhi wo husn se ghafil nahin milta

hawas-o-hosh gum hain bahr-e-irfan-e-ilahi mein

yahi dariya hai jis mein mauj ko sahil nahin milta

kitab-e-dil mujhe kafi hai 'akbar' dars-e-hikmat ko

main spencer se mustaghni hun mujh se mil nahin milta

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tariq-e-ishq Mein Mujhko Koi Kaamil Nahin Milta In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Tariq-e-ishq Mein Mujhko Koi Kaamil Nahin Milta is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Tariq-e-ishq Mein Mujhko Koi Kaamil Nahin Milta for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Tariq-e-ishq Mein Mujhko Koi Kaamil Nahin Milta in PDF.