Rang-e-sharab Se Meri Niyyat Badal Gai
rang-e-sharab se meri niyyat badal gai
waiz ki baat rah gai saqi ki chal gai
tayyar the namaz pe hum sun ke zikr-e-hur
jalwa buton ka dekh ke niyyat badal gai
machhli ne Dhil pai hai luqme pe shad hai
sayyaad mutmain hai ki kanTa nigal gai
chamka tera jamal jo mahfil mein waqt-e-sham
parwana be-qarar hua shama jal gai
uqba ki baz-purs ka jata raha KHayal
duniya ki lazzaton mein tabiat bahal gai
hasrat bahut taraqqi-e-duKHtar ki thi unhen
parda jo uTh gaya to wo aaKHir nikal gai
(1644) Peoples Rate This