Nai Tahzib Se Saqi Ne Aisi Garm-joshi Ki
nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki
ki aaKHir muslimon mein ruh phunki baada-noshi ki
tumhaari policy ka haal kuchh khulta nahin sahib
hamari policy to saf hai iman-faroshi ki
chhupane ke ewaz chhapwa rahe hain KHud wo aib apne
nasihat kya karun main qaum ko ab aib-poshi ki
pahanne ko to kapDe hi na the kya bazm mein jate
KHushi ghar baiThe kar li hum ne jashn-e-taj-poshi ki
shikast-e-rang-e-mazhab ka asar dekhen nae murshid
musalmanon mein kasrat ho rahi hai baada-noshi ki
reaya ko munasib hai ki baham dosti rakkhen
himaqat hakimon se hai tawaqqoa garm-joshi ki
hamare qafiye to ho gae sab KHatm ai 'akbar'
laqab apna jo de den mehrbani hai ye joshi ki
(1434) Peoples Rate This