Na Ruh-e-mazhab Na Qalb-e-arif Na Shairana Zaban Baqi

na ruh-e-mazhab na qalb-e-arif na shairana zaban baqi

zamin hamari badal gai hai agarche hai aasman baqi

shab-e-guzishta ke saz o saman ke ab kahan hain nishan baqi

zaban-e-shama-e-sahar pe hasrat ki rah gai dastan baqi

jo zikr aata hai aaKHirat ka to aap hote hain saf munkir

KHuda ki nisbat bhi dekhta hun yaqin ruKHsat guman baqi

fuzul hai un ki bad-dimaghi kahan hai fariyaad ab labon par

ye war par war ab abas hain kahan badan mein hai jaan baqi

main apne miTne ke gham mein nalan udhar zamana hai shad o KHandan

ishaara karti hai chashm-e-dauran jo aan baqi jahan baqi

isi liye rah gai hain aankhen ki mere miTne ka rang dekhen

sunun wo baaten jo hosh uDaen isi liye hain ye kan baqi

tajjub aata hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar'

abhi middle pas tak nahin hai bahut se hain imtihan baqi

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ruh-e-mazhab Na Qalb-e-arif Na Shairana Zaban Baqi In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Na Ruh-e-mazhab Na Qalb-e-arif Na Shairana Zaban Baqi is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Na Ruh-e-mazhab Na Qalb-e-arif Na Shairana Zaban Baqi for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Na Ruh-e-mazhab Na Qalb-e-arif Na Shairana Zaban Baqi in PDF.