Meri Taqdir Muafiq Na Thi Tadbir Ke Sath
meri taqdir muafiq na thi tadbir ke sath
khul gai aankh nigahban ki bhi zanjir ke sath
khul gaya mushaf-e-ruKHsar-e-butan-e-maghrib
ho gae shaiKH bhi hazir nai tafsir ke sath
na-tawani meri dekhi to musawwir ne kaha
Dar hai tum bhi kahin khinch aao na taswir ke sath
ho gaya tair-e-dil said-e-nigah-e-be-qasd
sai-e-bazu ki yahan shart na thi tir ke sath
lahza lahza hai taraqqi pe tera husn-o-jamal
jis ko shak ho tujhe dekhe teri taswir ke sath
baad sayyad ke main college ka karun kya darshan
ab mohabbat na rahi is but-e-be-pir ke sath
main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'
'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath
(1083) Peoples Rate This