Mazhab Ka Ho Kyunkar Ilm-o-amal Dil Hi Nahin Bhai Ek Taraf
mazhab ka ho kyunkar ilm-o-amal dil hi nahin bhai ek taraf
cricket ki khilai ek taraf collage ki paDhai ek taraf
kya zauq-e-ibaadat ho un ko jo bas ke labon ke shaida hain
halwa-e-bahishti ek taraf hotel ki miThai ek taraf
taun-o-tap aur khaTmal machchhar sab kuchh hai ye paida kichaD se
bambe ki rawani ek taraf aur sari safai ek taraf
mazhab ka to dam wo bharte hain be-parda buton ko karte hain
islam ka dawa ek taraf ye kafir-adai ek taraf
har samt to hai ek dam-e-bala rah sakte hain KHush kis tarah bhala
aghyar ki kawish ek taraf aapas ki laDai ek taraf
kya kaam chale kya rang jame kya baat bane kaun us ki sune
hai 'akbar'-e-bekas ek taraf aur sari KHudai ek taraf
fariyaad kiye ja ai 'akbar' kuchh ho hi rahega aaKHir-kar
allah se tauba ek taraf sahab ki duhai ek taraf
(1426) Peoples Rate This