Jalwa Ayan Hai Qudrat-e-parwardigar Ka
jalwa ayan hai qudrat-e-parwardigar ka
kya dil-kusha ye scene hai fasl-e-bahaar ka
nazan hain josh-e-husn pe gul-ha-e-dil-fareb
joban dikha raha hai ye aalam ubhaar ka
hain didani banafsha o sumbul ke pech o tab
naqsha khincha hua hai KHat-o-zulf-e-yar ka
sabza hai ya ye aab-e-zamurrad ki mauj hai
shabnam hai bahr ya guhar-e-abdar ka
murghan-e-bagh zamzama-sanji mein mahw hain
aur nach ho raha hai nasim-e-bahaar ka
parwaz mein hain titaryan shad o chust o mast
zeb-e-badan kiye hue KHilat bahaar ka
mauj-e-hawa o zamzama-e-andalib-e-mast
ek saz-e-dil-nawaz hai mizrab-o-tar ka
abr-e-tunak ne raunaq-e-mausam baDhai hai
ghaza bana hai ru-e-urus-e-bahaar ka
afsos is saman mein bhi 'akbar' udas hai
suhan-e-ruh hijr hai ek gul-izar ka
(1783) Peoples Rate This