Hun Main Parwana Magar Shama To Ho Raat To Ho
hun main parwana magar shama to ho raat to ho
jaan dene ko hun maujud koi baat to ho
dil bhi hazir sar-e-taslim bhi KHam ko maujud
koi markaz ho koi qibla-e-hajat to ho
dil to bechain hai izhaar-e-iradat ke liye
kisi jaanib se kuchh izhaar-e-karamat to ho
dil-kusha baada-e-safi ka kise zauq nahin
baatin-afroz koi pir-e-KHarabaat to ho
guftani hai dil-e-pur-dard ka qissa lekin
kis se kahiye koi mustafsir-e-haalat to ho
dastan-e-gham-e-dil kaun kahe kaun sune
bazm mein mauqa-e-izhaar-e-KHayalat to ho
wade bhi yaad dilate hain gile bhi hain bahut
wo dikhai bhi to den un se mulaqat to ho
koi waiz nahin fitrat se balaghat mein siwa
magar insan mein kuchh fahm-e-ishaaraat to ho
(1134) Peoples Rate This