Hawa-e-shab Bhi Hai Ambar-afshan Uruj Bhi Hai Mah-e-mubin Ka
hawa-e-shab bhi hai ambar-afshan uruj bhi hai mah-e-mubin ka
nisar hone ki do ijazat mahal nahin hai nahin nahin ka
agar ho zauq-e-sujud paida sitara ho auj par jabin ka
nishan-e-sajda zamin par ho to faKHr hai wo ruKH-e-zamin ka
saba bhi us gul ke pas aai to mere dil ko hua ye khaTka
koi shagufa na ye khilae payam lai na ho kahin ka
na mehr o mah par meri nazar hai na lala-o-gul ki kuchh KHabar hai
farogh-e-dil ke liye hai kafi tasawwur us ru-e-atishin ka
na ilm-e-fitrat mein tum ho mahir na zauq-e-taat hai tum se zahir
ye be-usuli bahut buri hai tumhein na rakkhegi ye kahin ka
(952) Peoples Rate This