Har Qadam Kahta Hai Tu Aaya Hai Jaane Ke Liye
har qadam kahta hai tu aaya hai jaane ke liye
manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye
kya mujhe KHush aae ye hairat-sara-e-be-sabaat
hosh uDne ke liye hai jaan jaane ke liye
dil ne dekha hai bisat-e-quwwat-e-idrak ko
kya baDhe is bazm mein aankhen uThane ke liye
KHub ummiden bandhin lekin huin hirman nasib
badliyan uTThin magar bijli girane ke liye
sans ki tarkib par miTTi ko pyar aa hi gaya
KHud hui qaid us ko sine se lagane ke liye
jab kaha main ne bhula do ghair ko hans kar kaha
yaad phir mujh ko dilana bhul jaane ke liye
dida-bazi wo kahan aankhen raha karti hain band
jaan hi baqi nahin ab dil lagane ke liye
mujh ko KHush aai hai masti sheKH ji ko farbahi
main hun pine ke liye aur wo hain khane ke liye
allah allah ke siwa aaKHir raha kuchh bhi na yaad
jo kiya tha yaad sab tha bhul jaane ke liye
sur kahan ke saz kaisa kaisi bazm-e-samain
josh-e-dil kafi hai 'akbar' tan uDane ke liye
(1207) Peoples Rate This