Har Ek Ye Kahta Hai Ab Kar-e-din To Kuchh Bhi Nahin
har ek ye kahta hai ab kar-e-din to kuchh bhi nahin
ye sach bhi hai ki maza be-yaqin to kuchh bhi nahin
tamam umr yahan KHak uDa ke dekh liya
ab aasaman ko dekhun zamin to kuchh bhi nahin
meri nazar mein to bas hai unhin se raunaq-e-bazm
wahi nahin hain jo ai ham-nashin to kuchh bhi nahin
haram mein mujh ko nazar aae sirf zahid-e-KHushk
makan KHub hai lekin makin to kuchh bhi nahin
tere labon se hai albatta ek halawat-e-zist
nabaat-e-qand-e-shakar angbin to kuchh bhi nahin
dimagh ab to mison ka hai charKH-e-chaarum par
baDha diya meri KHwahish ne thin to kuchh bhi nahin
ba-qaul-e-hazrat-e-'mahshar' kalam shaer ka
pasand aae to sab kuchh nahin to kuchh bhi nahin
wo kahte hain ki tumhin ho jo kuchh ho ai 'akbar'
hum apne dil mein hain kahte hamin to kuchh bhi nahin
(955) Peoples Rate This