Hangama Hai Kyun Barpa ThoDi Si Jo Pi Li Hai
hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai
Daka to nahin mara chori to nahin ki hai
na-tajraba-kari se waiz ki ye hain baaten
is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi hai
us mai se nahin matlab dil jis se hai begana
maqsud hai us mai se dil hi mein jo khinchti hai
ai shauq wahi mai pi ai hosh zara so ja
mehman-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai
wan dil mein ki sadme do yan ji mein ki sab sah lo
un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai
har zarra chamakta hai anwar-e-ilahi se
har sans ye kahti hai hum hain to KHuda bhi hai
suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain
but hum ko kahen kafir allah ki marzi hai
talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna
barakat jo nahin hoti niyyat ki KHarabi hai
sach kahte hain shaiKH 'akbar' hai taat-e-haq lazim
han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai
(2025) Peoples Rate This