Ghamza Nahin Hota Ki Ishaara Nahin Hota
ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota
aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota
jalwa na ho mani ka to surat ka asar kya
bulbul gul-e-taswir ka shaida nahin hota
allah bachae maraz-e-ishq se dil ko
sunte hain ki ye aariza achchha nahin hota
tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota
main naza mein hun aaen to ehsan hai un ka
lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota
hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnam
wo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
(925) Peoples Rate This