Gale Lagaen Karen Pyar Tumko Id Ke Din
gale lagaen karen pyar tum ko id ke din
idhar to aao mere gul-ezar id ke din
ghazab ka husn hai aaraishen qayamat ki
ayan hai qudrat-e-parwardigar id ke din
sambhal saki na tabiat kisi tarah meri
raha na dil pe mujhe iKHtiyar id ke din
wo sal bhar se kudurat bhari jo thi dil mein
wo dur ho gai bas ek bar id ke din
laga liya unhen sine se josh-e-ulfat mein
gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyar id ke din
kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai KHanda-e-gul
ayan hai josh-e-shabab-e-bahaar id ke din
siwayyan dudh shakar mewa sab muhayya hai
magar ye sab hai mujhe nagawar id ke din
mile agar lab-e-shirin ka tere ek bosa
to lutf ho mujhe albatta yar id ke din
(1824) Peoples Rate This