Dil Mera Jis Se Bahalta Koi Aisa Na Mila
dil mera jis se bahalta koi aisa na mila
but ke bande mile allah ka banda na mila
bazm-e-yaran se phiri baad-e-bahaari mayus
ek sar bhi use aamada-e-sauda na mila
gul ke KHwahan to nazar aae bahut itr-farosh
talib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaida na mila
wah kya rah dikhai hai hamein murshid ne
kar diya kabe ko gum aur kalisa na mila
rang chehre ka to college ne bhi rakkha qaim
rang-e-baatin mein magar bap se beTa na mila
sayyad uTThe jo gazette le ke to lakhon lae
shaiKH quran dikhate phire paisa na mila
hoshyaron mein to ek ek se siwa hain 'akbar'
mujh ko diwanon mein lekin koi tujh sa na mila
(1556) Peoples Rate This