Dil Ho KHarab Din Pe Jo Kuchh Asar PaDe
dil ho KHarab din pe jo kuchh asar paDe
ab kar-e-ashiqi to bahar-kaif kar paDe
ishq-e-butan ka din pe jo kuchh asar paDe
ab to nibahna hai jab ek kaam kar paDe
mazhab chhuDaya ishwa-e-duniya ne shaiKH se
dekhi jo rail unT se aaKHir utar paDe
betabiyan nasib na thin warna ham-nashin
ye kya zarur tha ki unhin par nazar paDe
behtar yahi hai qasd udhar ka karen na wo
aisa na ho ki rah mein dushman ka ghar paDe
hum chahte hain mel wajud-o-adam mein ho
mumkin to hai jo beach mein un ki kamar paDe
dana wahi hai dil jo kare aap ka KHayal
bina wahi nazar hai ki jo aap par paDe
honi na chahiye thi mohabbat magar hui
paDna na chahiye tha ghazab mein magar paDe
shaitan ki na man jo rahat-nasib ho
allah ko pukar musibat agar paDe
ai shaiKH un buton ki ye chaalakiyan to dekh
nikle agar haram se to 'akbar' ke ghar paDe
(1055) Peoples Rate This