Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d40e6fddd519b09656e8faa9eaf41f04, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dasht-e-ghurbat Hai Alalat Bhi Hai Tanhai Bhi - Akbar Allahabadi Poetry In English - Darsaal

Dasht-e-ghurbat Hai Alalat Bhi Hai Tanhai Bhi

dasht-e-ghurbat hai alalat bhi hai tanhai bhi

aur un sab pe fuzun baadiya-paimai bhi

KHwab-e-rahat hai kahan nind bhi aati nahin ab

bas uchaT jaane ko aai jo kabhi aai bhi

yaad hai mujh ko wo be-fikri o aaghaz-e-shabab

suKHan-arai bhi thi anjuman-arai bhi

nigah-e-shauq-o-tamanna ki wo dilkash thi kamand

jis se ho jate the ram aahu-e-sahrai bhi

hum sanam-KHana jahan karte the apna qaim

phir khaDe hote the wan hur ke shaidai bhi

ab na wo umr na wo log na wo lail o nahaar

bujh gai taba kabhi josh pe gar aai bhi

ab to shubhe bhi mujhe dew nazar aate hain

us zamane mein pari-zad thi ruswai bhi

kaam ki baat jo kahni ho wo kah lo 'akbar'

dam mein chhin jaegi ye taqat-e-goyai bhi

(1453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-ghurbat Hai Alalat Bhi Hai Tanhai Bhi In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Dasht-e-ghurbat Hai Alalat Bhi Hai Tanhai Bhi is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Dasht-e-ghurbat Hai Alalat Bhi Hai Tanhai Bhi for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Dasht-e-ghurbat Hai Alalat Bhi Hai Tanhai Bhi in PDF.