Dard To Maujud Hai Dil Mein Dawa Ho Ya Na Ho
dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho
bandagi haalat se zahir hai KHuda ho ya na ho
jhumti hai shaKH-e-gul khilte hain ghunche dam-ba-dam
ba-asar gulshan mein tahrik-e-saba ho ya na ho
wajd mein late hain mujh ko bulbulon ke zamzame
aap ke nazdik ba-mani sada ho ya na ho
kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti mein sharik
us ka kuchh maqsud koi muddaa ho ya na ho
kyun ciwil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin
is mein hai ek baat honour ki shifa ho ya na ho
maulwi sahib na chhoDenge KHuda go baKHsh de
gher hi lenge police wale saza ho ya na ho
membari se aap par to warnish ho jaegi
qaum ki haalat mein kuchh is se jila ho ya na ho
mo'tariz kyun ho agar samjhe tumhein sayyaad dil
aaise gesu hun to shubah dam ka ho ya na ho
(1299) Peoples Rate This