CharKH Se Kuchh Umid Thi Hi Nahin
charKH se kuchh umid thi hi nahin
aarzu main ne koi ki hi nahin
mazhabi bahas main ne ki hi nahin
faltu aql mujh mein thi hi nahin
chahta tha bahut si baaton ko
magar afsos ab wo ji hi nahin
jurat-e-arz-e-haal kya hoti
nazar-e-lutf us ne ki hi nahin
is musibat mein dil se kya kahta
koi aisi misal thi hi nahin
aap kya jaanen qadr-e-ya-allah
jab musibat koi paDi hi nahin
shirk chhoDa to sab ne chhoD diya
meri koi society hi nahin
puchha 'akbar' hai aadmi kaisa
hans ke bole wo aadmi hi nahin
(1106) Peoples Rate This