Be-takalluf Bosa-e-zulf-e-chalipa Lijiye
be-takalluf bosa-e-zulf-e-chalipa lijiye
naqd-e-dil maujud hai phir kyun na sauda lijiye
dil to pahle le chuke ab jaan ke KHwahan hain aap
is mein bhi mujh ko nahin inkar achchha lijiye
panw pakaD kar kahti hai zanjir-e-zindan mein raho
wahshat-e-dil ka hai ima rah-e-sahra lijiye
ghair ko to kar ke zid karte hain khane mein sharik
mujh se kahte hain agar kuchh bhuk ho kha lijiye
KHush-numa chizen hain bazar-e-jahan mein be-shumar
ek naqd-e-dil se ya-rab mol kya kya lijiye
kushta aaKHir aatish-e-furqat se hona hai mujhe
aur chande surat-e-simab taDpa lijiye
fasl-e-gul ke aate hi 'akbar' hue behosh aap
kholiye aaankhon ko sahib jam-e-sahba lijiye
(1046) Peoples Rate This