Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0cd5d9aa54db321934ccf8ebf83fb89d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap Dijiye - Akbar Allahabadi Poetry In English - Darsaal

Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap Dijiye

apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye

aKHbar mein to nam mera chhap dijiye

dekho jise wo pioneer office mein hai DaTa

bahr-e-KHuda mujhe bhi kahin chhap dijiye

chashm-e-jahan se haalat-e-asli chhupi nahin

aKHbar mein jo chahiye wo chhap dijiye

dawa bahut baDa hai riyazi mein aap ko

tul-e-shab-e-firaq ko to nap dijiye

sunte nahin hain shaiKH nai raushni ki baat

engine ki un ke kan mein ab bhap dijiye

is but ke dar pe ghair se 'akbar' ne kah diya

zar hi main dene laya hun jaan aap dijiye

(1208) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap Dijiye In English By Famous Poet Akbar Allahabadi. Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap Dijiye is written by Akbar Allahabadi. Read famous Poem Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap Dijiye for youth and Student by Akbar Allahabadi. Free Download Apni Girah Se Kuchh Na Mujhe Aap Dijiye in PDF.