Apne Pahlu Se Wo Ghairon Ko UTha Hi Na Sake
apne pahlu se wo ghairon ko uTha hi na sake
un ko hum qissa-e-gham apna suna hi na sake
zehan mera wo qayamat ki do-alam pe muhit
aap aaise ki mere zehan mein aa hi na sake
dekh lete jo unhen to mujhe rakhte mazur
shaiKH-sahib magar us bazm mein ja hi na sake
aql mahngi hai bahut ishq KHilaf-e-tahzib
dil ko is ahd mein hum kaam mein la hi na sake
hum to KHud chahte the chain se baiThen koi dam
aap ki yaad magar dil se bhula hi na sake
ishq kaamil hai usi ka ki patangon ki tarah
tab nazzara-e-masuq ki la hi na sake
dam-e-hasti ki bhi tarkib ajab rakkhi hai
jo phanse us mein wo phir jaan bacha hi na sake
mazhar-e-jalwa-e-jaanan hai har ek shai 'akbar'
be-adab aankh kisi samt uTha hi na sake
aisi mantiq se to diwangi behtar 'akbar'
ki jo KHaliq ki taraf dil ko jhuka hi na sake
(1065) Peoples Rate This